Kya apko pata hai jo mobile app apko caller ki identity batata hai wo apko loan bhi deti hain…Ji han ye ek dum sach hai. Hum Bat kar rahe hai Truecaller Personal loan ke bare main. Truecaller apko 5 lakh tak ka loan deti hai wo bhi ghar baithe. Apko kahi par bhi jane ki jarurat nhi hain.
Es app se bhi other loan app ki tarah ek pre-defined procedure hai jisey loan lene wale ko follow karna hota hai. Yadi ap loan ke liye eligibile hai aur apne sari details sahi fill ki hain aur required documents upload kar diye hai to apko jald hi loan apke bank account mai receive ho jata hai.
Truecaller App se personal loan kaise le es bare mai puri jankari ke liye es post ko end tak jarur padhein.
Also Check: 25+ Best RBI Registered Loan App List
Features of Truecaller Personal Loan
- Truecaller app se ap online personal loan ke liye apply kar sakte hain
- Whole india mai kahi se bhi loan ke liye apply kiya ja sakta hai.
- Truecaller app se 5 lakh tak ka loan mil jata hain.
- Loan repayment ke liye 60 months tak ka time mil jata hai.
- Loan approve sanction hone mai bahut kam time lagta hain.
- Loan lete time kisi Guarantar/Security/Collatral ki jarurat nhi padti hain.
- Loan ki kisi bhi step ke liye apko personal bank visit karne ki jarurat nhi padti.
- Minimum documents par bhi loan mil jata hain.
- Urgent paise ki jarurat ho to jaldi loan mil jata hain.
- Interest rate bhi kam hota hain.
- Loan lene ke liye koi charges ni dene padte.
- Low credit score hone par bhi loan mil jata hain.
About Truecaller Personal Loan
Truecaller personal loan bhi provide karta hai. Ye customers ko directly loan nhi deta actually ye bank or loan dene wali companies ke bich ek bridge ka kaam karta hain. Ye ek platform provide kartwata hai jisse ki loan lene wale and loan provider communication easy ho jata hai. Truecaller app apko apne kuch partners jaise ki Moneyview, Indialends, etc ke sath mil kar personal loan ki service deta hain.
Jaisa ki maine apko bataya ki Truecaller apko sirf ek platform provide katwata hain. Ap apni loan application Truecaller par dalte hai aur Truecaller us application ko loan provider companies ko forward kar deta hain. Es tarah ap Truecaller app se instant loan le pate hai.
Also Check: Lend Mall Loan Kaise Le : Lend Mall Loan App Instant Personal Loan Apply Online
What is Truecaller app?
Truecaller bahut hi popular app hain. Ye app almost sab mobile user install karke rakhte hai because esse kisi bhi mobile user ki identity ka pata lagaya ja sakta hain. Agar apko koi unknown number se phone kar raha hai aur apko uski identity ka pata lagana hai to apko Truecaller app apne mobile par install karna hoga.
Truecaller app par bahut sare new features bhi aa gaye hai jaise ki messanger, UPI payment service, loan service, etc. Loan service ka use karke app directly personal loan ke liye apply kar sakte hain.
Also check: Goto Cash App Se Loan Kaise Le [Gotocash Loan App Review]
Truecaller Kha Ki Company Hai And Owner Kon Hai?
Dosto Truecaller ko 2009 mai Stockholm, Sweden ke private institute “True Software Scandinavia AB” ki taraf se launch kiya gaya tha.
Es app ko banana wali company ke 2 owners hai – Alan Mamedi And Nami Zarringhalam
Truecaller App Se Kitne Ka Loan Mil Jata Hai
Dosto Truecaller app se aap 5 lac tak ka loan le sakte hai but agar aap first time loan le rahe hai ya fir apka cibil score achcha nhi hai to apko kam amount ka hi loan milta hain. Apki janakri ke liye bata du ki Truecall Unsecured Personal loan deti hai. Eska matlab apko loan lene ke liye kuch bhi girvi nhi rakhna padta.
Truecaller app apko pahle small amount ka hi loan deti hai. Yadi ap loan time par and pura pay kar dete dete hai to apka credit score badh jata hai aur next time thode ache amount ka loan milne ki possibility badh jati hain.
Loan amount kitna hoga ye apki income, credit score, past loan history, etc par depend karta hai.
Also Check: Navi Loan Kaise Lete Hain | Navi Instant Personal Loans App
Truecaller Loan App Par Interest Kitna Lagta Hai?
Truecaller app se loan lene par apko maximum 35% per annum interest rate dena pad sakta hain. Interest rate apke cibil score par depend karta hain. Achcha cibil score hone par apko 18% per annum par bhi loan mil sakta hai.
Truecaller App Se Loan Kitne Time Ke Liye Milta Hai?
Truecaller app ki help se personal loan lene par apko 81 days se leker 5yrs tak ke liye loan mil sakta hain.
Also check: KreditBee Loan App: Instant Personal Loan Kaise Le [Apply Onine]
Truecaller Personal Loan Fee & Charges Kya Hai?
Truecaller se personal loan lene par apko loan amount ka 2-3% processing fee dena padta hain. Eske alawa Truecaller apse koi bhi extra charge nhi leta hain.
Agar ap due date par instalment pay nhi karte hai to apko Late Fee & Penalty pay karna hota hain. Agar apki instalment bounce kar jati hai to Bank apse ACH Return Charge Deduct karta hai jiska amount 600Rs Tak ho sakta hain.
Truecaller Personal Loan Eligibility Kya Hai?
- Ap ek Indian citizen hone chaiye.
- Apki income minimum 14000 honi chaiye.
- Apka cibil score okay hona chaiye.
- Apki age 21 se 55yrs ke bich honi chaiye.
- Apka mobile number aadhar se link hona chaiye.
- Saving bank account hona chaiye + Internet banking facility active honi chaiye Emi auto debit ke liye approval dene ke liye.
- Loan applicant ke pas Smartphone + Active internet connection hona chaiye.
Also check: Fair Money Se Loan Kaise Le | Fair Money Loan Kaise Le | Fair Money Personal Loan Apply Online
Documents for Truecaller Personal loan
- Id Proof – Pan Card
- Address Proof – Aadhar
- Income Source – Bank Statement
- Internet banking
Apply Truecaller Loan/ Truecaller Personal Loan Kaise Le?
- Sabse pahle apko Truecaller app ko apne smartphone par install karna hain.
- Eske bad apko mobile number se Signup karna hai.
- Signup karne ke bad Loan Section par jaye.
- Apni personal details fill karne ke bad continue kare.
- Choose your profession, income amount fill kare aur eligibility check kare.
- Eligible hone par pan card, aadhar card and bank statement upload kare.
- Interent banking or Slip upload ki help se NACH ko setup kar le.
- Kuch hi der mai loan amount apke bank account mai credit ho jayega jisey ap balance check karke confirm kar sakte hai.
Repayment Of Truecaller Loan
Truecaller ki help se jab app loan lete hai to loan processing mai hi apse NACH approval le liya jata hai jisse har month ki 5th ko EMI automatically apke bank account se deduct ho jati hain.
Agar personal loan ki EMI bounce na ho esliye hamesha 5th ko apne account mai sufficient balance rakhein jisse ki EMI deduct hone mai koi prob na aaye.
EMI ke liye Truecaller apko SMS and Email ke jariye 2 din pahle reminder bhi send karta hain.
Truecaller Personal Loan Review
Dosto apne jana ki Truecaller kaise apko personal loan lene ke liye ek platform provide karwata hai. Ye loan provider and loan seeker ke bich ek communication mode ka kam karta hain.
Market mai kafi sari popular apps apne platform par user ko loan ki facility provide karwane lag gayi hain esliye competition mai bane rahne ke liye Truecaller ne bhi loan service apne platform par available karana start kar diya hain. Ye bs apko platform provide karwata hain khud loan hi deta hai.
Truecaller se app online loan ke liye apply kar sakte hai aur popular hone ke karan ye app sabhi ke pas phle se hi install hoti hain jisse apko koi aur loan app ko install nhi karna padta. Truecaller, NBFCs ke sath mik kar apko loan deta hain jisse enki interest rate bank ki interest rate se jyada hoti hai. Esliye jab app Truecaller personal loan ke liye apply kar rahe hote hai to es bat ka jarur dhyan rakhein.
Also check: PalmCash Loan App : PalmCash Instant Personal Loan – PalmCash Loan App Review In Hindi
Conclusion:
Dosto humne ye jana ki Truecaller app se personal loan kaise le. Truecaller app se kitna loan milta hai, Truecaller loan ka interest kitna hota hai, Truecaller loan ke liye kaise apply kare, Truecaller loan kitne time ke liye milega ye sab bate humne es post mai jani.
Agar apko urgent cash ki jarurat hai to aap Truecaller loan ke liye apply kar sakte hai. Es pr interest jyada lagta hai esliye loan lene se pahle ek bar check kar le ki kitna interest pay karna padega.
Ye ap par hai ki apko loan lena hai ya nhi lena hai. Sari chizo ki information leker app decide kar sakte hain. Humne yahi try kiya hai ki apko es loan ke bare mai puri knowledge de paye. Post ko end tak padhne ke liye thanks. Stay happy…