Dosto hum es post mai janenge ki smart coin se kaise loan lete hai. Loan ki jarurat kisi ko bhi pad sakti hai. Jin logo ka cibil score acha hota hain unhe pre-approved loan bhi mil jata hain jaise ki TVS Insta Card kuch esi tarah ka card hai jo ki jo TVS Credit Sirf apne premium customer ko hi offer karti hai. Aise customer jinka credit score acha hota hai aur jo time par apne emi pay kar rahe hote hai. Par dosto bahut se log aise bhi hote hai jinka cibil score hota hi nhi hai ya fir average/low hota hai, aise logo ko bank se loan lene mai bahut preshani ka samna karna padta hai. Lekin fortunately ab eska bhi ek solution mil gya hain.
Smartcoin Loan app. Ji han dosto. Smartcoin app ki help se app personal loan le sakte hai. Yadi apko kam amount ka bhi loan chaiye tab bhi ap Smart coin app se loan ke liye apply kar sakte hain. Ye app customer ko ₹4000 se ₹1 Lakh tak ka loan deti hai wo bhi bahut kam documents ke sath. Es app hi help se ap India mai kahi bhi baithe hue loan le sakte hai. Ek bar loan ko time par repay kar dene ke bad next time apko jyada amount ke loan milne ke chances badh jate hai.
Smart Coin App क्या है?
Dosto ap to jante hi hai ki apps se hamari life ko kitna simple bana diya hai. Aj kal har kam app se through ho jata hai. Loan lena ab pahle ki jaise problematic nhi raha. Ab ab app ke through ghar baithe loan ke liye apply kar sakte hai aur loan amount directly apke bank account mai credit ho jata hai. Smart Coin app bhi users ko loan dene ka kam karti hai. Es par loan ke liye kaise apply karna hai ye hum aage janenge.
Aaeye hum jante hai ki Smart coupon personal loan kaise le and Smart Coin App Review ke related konsi information hum apko es article mai aage denge.
- Smart coin app se apko kitne amount ka loan milta hai.
- Smart coin app se loan kitne interest par milta hain.
- Smart coin app se loan kitne time ke liye milat hain.
- Smart coin app se loan lene ke liye apke pas konse documents hone chaiye
- Smart Coin app se loan lene ki eligibility kya hai.
Why Smart Coin Personal Loan?
- Smart coin app se loan lene ki puri process online hoti hai.
- Es app se Rs.1000 se Rs.65000 tak ka loan mil jata hai.
- Loan apply karne ki facility 24/4 available rahti hai.
- Without Guarantor loan ke liye apply kar sakte hai.
- Loan repayment ke liye 91 se 120 days tak ka time milta hain.
- Loan approval ke 24hrs ke ander amount apke bank account mai credit ho jata hai.
- Loan ke time par repayment se credit score improve hota hai.
- Loan Jaldi mil jata hai.
- Loan lene ke liye kam documents dene padte hai.
Smart Coin Personal Loan Eligibility
- Applicant ki age 19-50yr ke bich honi chaiye.
- Applicant ek Indian Citizen hona chaiye
- Applicant ke pas valid email id and mobile number hona chaiye.
- Income source hona chaiye.
- Mobile number aadhar se link hona chaiye.
Smart Coin Loan Interest Rate
Smart coin app se loan lene par customer ko up to 36% per annum interest pay karna padta hai. Apko jitney amount ka loan approve hua hai us par apko es interest ko pay karna hota hai.
Smart Coin Personal Loan के लिए Documents क्या चाहिए?
- Pan Card
- Aadhar Card
- Selfie
Smart Coin App Loan Tenure:
App coin app se apko 62 days se 180 days tak ke liye loan mil sakta hai.
Smart Coin App Fees & Charges
- Interest Rate: 0%-30%
- Processing Fee: 0%-2.5%
- Penalty in case of late payment of EMI.
- GST as per the tax of Indian GOVT Law.
- High interest for high-risk customers.
Smart Coin Personal Loan Apply कैसे करें
- Sabse pahle Google play store se Smart Coin app ko download kare.
- Google account se Sign up karke apki general details fill kare.
- Apki details ko check karke Smart Coin app apko loan offer dega.
- Us offer mai se apko loan amount ko choose karna hai.
- Uske bad apko document upload karne hai Jaise Aadhar, pan card, bank statement etc.
- Apki KYC complete hone ke bad bank apke apna bank account add karna hai jisse ki loan amount apke bank account mai credit ho jaye aur EMI automatically deduct ho jaye.
- Kuch der ke bad loan apke bank account mai aa jayega.
- Dhayn rahe ki es loan ko ap timely repay kare.
Smart Coin Customer Care Contact:
Feedback email: contact@smartcoin.co.in
Regarding Repayments etc – Help@smartcoin.co.in
Mobile Helpline – 09148380504
Conclusion
Dosto humne jana ki Smart coin app se kaise loan le sakte hai. Es app se loan lene ke liye apko upper di gayi process ko follow karna hain. Eske alawa humne apko ye bhi bataya ki Smartcoin app se interest kitna lagta hai, Smart coin app kitne time ke liye loan deti hai, smart coin app se kitne ka loan milta hain, Smart coin app loan eligibility and documents konse lagte hai ye bhi humne jana. Ye post apko achi lagi ho to apne friends ke sath esey jarur share kijiye. Thanks for reading.