Sbi Bank Se Business Loan Kaise Le: Apply Online

Sbi Bank Se Business Loan Kaise Le

Dosto aapne SBI Bank ka name to suna hi hoga. SBi India ka largest bank hai jiski city se leker village sab jagah branches hain. Sbi aise logo ko business loan bhi deta hai jinke pas apne business ko grow karne ke liye paise ki kami hain. Es tarike se SBI business ko badhne mai help karta hai. Es loan ka use business new machines purchase karne mai, management ko improve karne main, new technology, etc mai karte hai.

Hum ye kah sakte hai ki SBI ek trusted bank hai aur esse business loan lena achaa rahta hai kyunki ye ek Govt bank hai to kafi charges wagarh mai apko discount mil jata hai ya wo charges lagte hi nhi hai. Govt bhi busienss ke liye kayi schemes lati rahti hai jisse ki logo ko apan khudka business start karne mai help milti rahe. Aise hi ek scheme hai Mudra loan. 10 Lac se niche ke loan PM Mudra Yojna ke under diye jatey hai. Es bank ki itni sari branches hone ke karan aur kafi old bank hone ke karan business karne wale logo ka es par kafi trust hai.

Aj es article mai hum janenge ki SBI Bank se business loan kaise lete hai, Sbi Bank se Business loan lene par apka kitna interest lagega, SBI bank se apko Kitna Business loan milega, Sbi bank se business loan kitne time ke liye milega, Business loan lene ke liye criteria kya hai ye sab aj es article mai janenge. SBi Business loan kaise le es bare mai puri jankari ke liye hamare sath end tak judey rahein.

Read more: Paytm Business Loan Kaise le? | Paytm se Business Loan Kaise Lete Hain?

SBI Bank se Kitne Ka Business Loan Milega?

Dosto mai apko bata dena chahta hu ki SBI 5 lac se leker 100cr tak ka business loan deti hai.

Read more: SBI Bank Se Home Loan Kaise Le? | SBI Bank Home Loan Apply Online

SBI se business loan par kitna interest Lagega?

SBI se Business loan lene par 11.20% to 16.30% interest yearly pay karna padta hai.

Read more: SBI Super Premium Credit Card Kaise Le | SBI Aurum Metal Credit Card Apply Online

SBI se business loan Kitne Time ke liye Milta hai?

Dosto mai apko bata dena chahta hu ki SBI se business loan apko 1 year se leker 4 yrs tak ke liye diya jata hain.

Read more: Bank of Baroda Home Loan Kaise Le 2021? : Interest Rate, Tenure, Eligibility

SBI Bank se business loan Lene ki Eligibility kya hai?

  • Applicant ki age 21 se 65 sal ke bich honi chaiye.
  • Business ka annual turnover 20lac hona chaiye.
  • Apne present business mai 3yrs ka aur total business karte hue 5yrs ka experience hona chaiye.
  • Business last 2 yrs se profit mai hona chaiye.
  • Business ki ITR 1.5lac annually honi chaiye.
  • 750 ka minmum cibil score hona chaiye.

SbI ki Taraf se Kitni Business Loan Processing Fee charge ki jati h?

SBI ki taraf se 2% se 3% processing fee li jati hai. Agar ap bank se old customer ho aur apka track record acha hai to ap processing free par negotiate kar sakte ho.

SbI Se Bank Loan Ke liye Konse Documents Required hai?

Agar ap sbi bank se loan lena chahte hai to apko niche diye gaye documents bank ko provide karwane honge-

  • 6 Months bank statement
  • Proof of Address – Aadhar Card, registry copy, utility bills, rental agreement, bank statement etc.
  • Proof of Identity – PAN Card, Voter ID, Passport, Aadhar Card, Driving License etc.
  • Business Existence Proof-PAN, excise / VAT/ service tax/ sales tax registration, partnership deed copy, certificate of practice, RBI, SEBI issued registration certificate, trade license etc.
  • Income Tax and PAN card Copy of two years.

Why SBI for Business Loan?

  • SBI bank ki loan process simple hone ke karan Business loan jaldi mil jata hai.
  • Loan repayment ke options ache hain.
  • Interest rate fixed rate hai throughout loan duration.

SbI Bank se Busienss Loan Kaise Milta hai? How to Apply

Dosto mai apko bata dena chahta hu ki SBI Bank se business loan lena bahut hi aasan hota hai. Sabse pahle apko loan eligibility check karni hoti hai. Agar ap loan lene ke liye eligible hote hai to apki loan application kam time mai process kar di jati hai. Aaeye jante hai ki eski puri process kya hai. Dosto loan process par jane se pahle mai apko batana chahte hu ki agar ap loan ke liye apply karne wale hai to apko sabse pahle apni project report prepare kar leni chaiye aur sare documents bhi ready kar lene chaiye. Project report banane mai apko chahe thoda time jyada lag jaye lekin agar ap sahi tarike se project report banayenge ki apko business kaise kam karta hai to ap sahi tarike se loan manager ko samjha payenge. Yadi apne loan manager ko convince kar diya ki apka business aise kam karta hai aur aise profit generate karta hai to apko jyada amount ka loan milne mai help milti hai. Eske alawa sare documents karke hi loan manager se milne jayein.

  1. Sabse pahle apko SBI ki website pe jana hai.
  2. Eskbe bad apko Business loan ke option ko choose karke Apply Online par click karna hai.
  3. Yahan par apko sari details fill up karni hai.
  4. Eske bad jo bhi documents required hai unhe upload karna hoga.
  5. Eske bad bank ki taraf se apki loan eligibility check ki jayegi aur agar ap eligibile hai to bank ki taraf se eski information apko di jayegi.

Dosto es post mai aapne jana ki SBI Bank se Business loan kaise lete hai. Waise to humne SBi Bank se Business loan lene ke liye jo bhi jankari jaruri hoti hai sab yaha par di hai fir bhi agar apko koi doubt hai to ap comment section mai humse puch sakte hai. SbI ki taraf se bhi har branch mai relationship manager bhi appoint kiye jate hai. Aap branch ja kar unse bhi apne doubt clear kar sakte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *