SBI Bank Se Home Loan Kaise Le? | SBI Bank Home Loan Apply Online

Dosto aj hum es post mai SBI Bank Se Home Loan Kaise le ye janenge. Apna khud ka ek ghar banana sabhi ka sapna hota hain. Ghar banane mai bahut time lagta hai esliye kuch log directly ghar purchase bhi karte hai. Lekin sabhi ke pas ghar banane or purchase karne ke paise nhi hote. Bahut kam logo ki itni income hoti hai ki wo apne liye ek ghar le sakein. Ghar lene ke liye paisa bhi bahut chiaye hota hai to kisi se mang bhi nhi sakte hai. Hum indians kiraye ke ghar mai rahne se achcha apne khudke ghar mai rahna pasand karte hain kyunki apne khudke ghar mai rahne ka maja hi alag hai. Jo log kiraye ke ghar mai rahte hai wo achchi tarah se jante hai ki khudka ghar na hona kitna painful hota hain. Dosto lekin ab apko chinta karne ki jaruat nhi hai. Hum aj es post mai bat karenge SBI Home loan ke bare main. Agar apke pas ghar lene ke liye paise nhi hai to koi bat nhi. Ap SBI se home loan leker apna ghar bana sakte hai hai ya ghar purchase kar sakte hain.

SBI Bank Se Home Loan Kaise Le

Aj hum es pos mai apko batayenge ki SBI Home loan kitne ka milega? SBI Home loan interest rate kya hai? Sbi Home Loan kitne time ke liye milega? Sbi Home loan processing fee kitni lagti hai? SBI Home loan ke liye kon kon eligible hai? SBI Home loan ke liye docuements konse lagte hai? SBI Home loan kyu Le? SBI Home Loan ke liye kaise apply kare? etc. sab batein ap es article mai janenge.

Read more: Bank of Baroda Home Loan Kaise Le 2021?

SBI Bank Home Loan Kya Hai?

SBI Salaried aur self-employed logo ke liye minimum interest rate par Home loan de raha hai. Es loan ki khas bat ye hai ki es mai loan tenture ko 30yrs tak badhaya ja sakta hai. Eski interest rate 6.70% per annum se start hoti hai jo ki abhi sabse kam hain. Es loan mai apko prepayment karne par koi penalty nhi deni hoti. Es mai Processing fee bhi bahut kam 0.35% hai aur females ko alag se interest mai discount milta hain.

Read more: SBI Super Premium Credit Card Kaise Le | SBI Aurum Metal Credit Card Apply Online

SBI Se Home Loan Kitna Milega?

SbI bank ki taraf se apko 30lac se leker 75lack tak ka Home loan diya ja sakta hai. Apko loan kitna milega ye apki income, credit score, past loan history par depend karta hain. Yadi apki yearly income achchi hai to apko jyada amount ka loan mil jata hain. Banks hamesha salaried person ko loan dena jyada prefer karte hai kyunki unki ek fixed income aati rahti hai jisse loan ke repayment ki surety rahti hain. SbI home loan mai apko 6.95% se leker 7.45% ke bich interest rate par apko loan milta hain. Agar apka credit score achcha hai to apko kam interest rate par loan mil jata hain esliye hamesha apna credit score maintain karte rahe.

SBI Se Home Loan Kitne Time ke Liye Milta Hai?

Jab hum SBI bank se loan ke liye apply karte hai to hamare sare documents verify hotey hai. Hamari income, credit score, etc ke aadhar par hamey loan milta hai. Loan ka tenture kitna hoga ye loan amount par depend karta hai. Bahut se cases mai hum loan tenure badha sakte hai jisse loan ki montly instalment amount kam ho jata hain. Bat kare SBI Home loan ki to ye apko loan repay karne ke liye maximum 30yrs tak ka time deta hain. Aur apki age 70yrs hone se pahle apka loan repay ho jana chaiye.

Read more: Paytm Business Loan Kaise le? | Paytm se Business Loan Kaise Lete Hain?

SBI Home Loan par Kitna Interest Dena Padega?

Koi bhi loan lene se pahle hame pata hona chaiye ki us loan par kitna interest rate dena hoga. Aap agar us interest ko pay kar payein tabhi apko loan lena chaiye. Kam interest hone par loan ki monthly intalment bhi kam ki aati hai. SBI bank ki home loan interest rate 6.70% se start hoti hain. SBI apni home loan facility mai different types ke home loans deta hai. Un par interest rate bhi alag alag decide hoti hain. Jaise ki SBI Realty Home Loan par interest rate 7.65% – 8.05% tak ho sakti hain. SBI apko bahut kam interest rate par home loan provide karwata hai jo as a customer bahut achchi bat hain.

Read more: Fair Money Se Loan Kaise Le | Fair Money Loan Kaise Le | Fair Money Personal Loan Apply Online

SBI Home Loan Kon Kon Le Sakta Hai?

  • Apki age 18-70yrs ke bich honi chaiye.
  • Aap Salaried or Sele-employed hone chaiye.
  • Ap ek indian citizen hone chaiye (NRI ko bhi home loan facility milti hain).

SBI Se Home Loan Lene Ke Liye Konse Document Chaiye?

  1. SBI Home loan application form
  2. ID Proof
  3. Address Proof
  4. 3 Passport Size photos
  5. Property papers
  6. Income Related Documents

Why SBI Home Loan?

  1. Es mai interest rate bahut kam hai jo ki 6.95% se start hoti hai.
  2. Es mai loan repay ke liye 30 sal ka tak ka time mil jata hai.
  3. Es mai loan-to-value ratio 90% tak ho sakta hai. Yani ki apko jitney ka loan chaiye us amount ka 90% tak loan mil jata hain. Es mai properly ki value nikali jati hai. .
  4. Female applicants ko interest mai 0.05% ka discount milta hain.
  5. Floating rate par home loan lene par koi repayment penalty nhi lagti hai.
  6. Har type ke customer ke liye loan facility hai.
  7. Ye loan Salaried and Self-employed dono ko diya jata hai.
  8. Es mai apko balance transfer (BT), Topup aur Overdraft ki facility mil jati hai.
  9. Es loan mai apko reducing balance par interest lagta hai.

SBI Home Loan Processing Fee Kitni Lagegi?

Home loan par bank apse processing fee charge karta hai. Ye fee apse loan se related jo bhi process hoti hai uske against mai liya jata hai. SBI ki website par di gayi janakari ke anusar Processing Fee: 0.40% of Loan Amount+ GST hai. Ye Fee Minimum 10,000rs + Tax aur Maximum 30000 + Tax ho sakti hai.

SBI Bank Se Home Loan Kaise Le? | SBI Home Loan Ke liye Kaise Apply Kare?

  1. Sabse pahle apko es link par jana hai.
  2. Es link par jane ke bad ek website open hogi. Apko yaha par Check Eligibility par click karna hai.
  3. Yha par jo information mangi gayi hai wo bhar dein aur terms & condition ko accept karke Submit par click kare.
  4. Aage bhi esi tarah apko di gayi jankari bharke apni pasand ke loan ko compare karna hai.
  5. Puri process hone ke bad bank apki details veify karega aur bank ki tarag se apko aage ki process ki janakari di jayegi.

Conclusion: SBI Se Home Loan Kaise Lete hai

Dosto apko es article mai SBI Home loan kaise le, Sbi home loan lene ki puri process in hindi mai batayi gayi hai. Eske alawa SBI home loan par interest kitna lagta hai, SBI home loan kitne time ke liye milta hain, SBI home loan kitna milega, loan eligibility criteria, Loan documents, es sab chizo ke bare mai information apko di gayi hai. Yadi apko di gayi jankari pasand aayi ho to es post ko apne friends aur relatives ke sath jarur share karein. Jisse unhe agar Home loan ki jarurat ho to wo loan le sakein aur apne khudke ghar ka sapna pura kar sakein. Es post ko padhne ke liye dhanyawad. Loan se related aise hi valuable information ke liye hamare blog LoanProcess ko padhte rahiye.

One comment

  1. Indara kolani hariyadhana
    Jila jodhapur

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *