Ap log search kar rahe honge ki phonepe se loan kaise milta hain ya phonepe se loan kaise le. Ab apko chinta karne ki jarurat nhi hain kyunki es article mai apke sath wo sari janakri share ki jayegi jisse ki apko phope se loan lene mai bahut madad milegi.
Jaisa ki hum sab jante hain ki es time pe bahut se logo ki nokriya chut gayi hain. Kayi log berozgar ho gaye hain. Log bimar pad rahe hain lekin unke pas ilaz karwane ke liye paise nhi hain. Aise pareshani hamare samne khadi ho gayi hai ki kayi logo ke liye daily ka kharcha chala tak mushkil ho gya hain. Aise samay main agar hame loan lene ki jarurat padti hain to hum kya kare. Kahan jayein. Aj kal sba chize online order ki ja sakti hain jaise ki burger, pizza ya koi aur khane ka saman. Ap loan ke liye bhi online apply kar sakte hain aur wo bhi bahut simple tarike se.
Read more: Smartcoin Se Loan Kaise Le | SmartCoin एप्प पर पर्सनल लोन कैसे लें
Pichale kuch salo mai bahut se banks ne online loan approve karne ki suvidha bhi shuru kar di hain..Eska alawa bahut si private companies bhi online loan dene ki tayari kar rahi hain…Agar apka credit score acha hain to kayi private or govt banks apko pre-approved loan ki bhi suvidha dete hain. Agar apko ye nhi pata ki online loan kaise lete hain, loan kaise milta hai, Turant loan kaise milta hai, loan kaise liya jata hai to ghabarane ki jarurat nahi hain. Hum es article mai apke sath ek aise app ke bare main janakari sajha karne ja rahe hain jiski madad se apko easiliy loan mil jayega agar ap eligible hai to.
Hum ek aise app ke bare mai bat karte hain jiska upyog aj kal bahut badh gaya hai aur shayad ap bhi usey kaam mai lete ho. Hum bat kar rahe hain PhonePe app ki. Apne PhonePe ka use payment karne ke liye to kiya hoga par apko jankar acha lagega ki eski madad se hum loan bhi le sakte hain. PhonePe loan se sambandhit sari janakari apke sath share ki jayengi. PhonePe loan ke liye kaise aavedan karna hain, PhonePe loan ki liye kin kin documents ki jarurat padti hain sab, PhonePe Loan lene ke bad apko kitne % byaz (interest) dena hoga, PhonePe loan lene ke bad apko loan wapas chukane ka kitna time milta hai, PhonePe loan ke liye kon-kon apply kar sakte hai.
Also Read: Google Pay Se Loan Kaise Le 2021: गूगल पे लोन कैसे लेतें हैं?
PhonePe क्या है? What is PhonePe App?
PhonePe basically ek payment app jiski help se ap kisi ko bhi payment kar sakte hai aur usse payment mangwa sakte hain. Eski help se ap Light Bill, Water Bill, Credit Card bill payment kar sakte hain, Mobile recharge, Lic payment aadi kaam kar sakte hai. Yadi aapo kisi shopt se kuch saman lena aur apke pas cash nahi hai to aap Phonepe ki help se online payment bhi kar sakte hain bs shop wale ke pas Phonepe ka account activate hona jaruri hai. PhonePe se ap kuch hi seconds mai paise send kar sakte hai aur kisi se mangwa sakte hai. Ab hum jante hai ki PhonePe se loan kaise le sakte hai.
PhonePe Loan कैसे देता है?
PhonePe Apko directly loan nahi deta hain. Eski Flipkart ke sath partnership hain. Ye dono milke apko loan ki service provide karwate hain. Aage article mai hum janenge ki ap loan kaise le sakte hain.
Also Read: Bajaj Finance Card Apply Online Free in Hindi: Bajaj Emi Card Kaise Banaye
How to Take Personal Loan from PhonePe (PhonePe Se Loan Kaise Le)
Ab hum bat karenge ki phonepe se loan kaise le. PhonePe se loan lene ke liye sabse phle apko PhonePe app Google Playstore se apne mobile pe install karna hota hai. Install Karne ke bad apko apna mobile number app pr register karna hota hai. Yadi ap pahle se hi Phonepe app apne mobile mai use kar rahe hain to es step ko chod dijiye.
Eske bad apko Phonepe se loan lene ke liye ek aur app ko install karna hoga jiska nam hai Flipkart. Es app ko install karne ke bad apne wahi mobile number se register karna hoga jisse apne PhonePe par register kiya tha.
Uper batayi gayi process ko follow karne ke bad apko apni Flipkar Profile mai ja kar Flipkar Pay Later ko activate karna hoga. Sath ki apko kuch documents bhi yha par submit karne honge.
Also Read: KreditBee Loan App: Instant Personal Loan Kaise Le [Apply Onine]
PhonePe Instant Loan कितना मिलेगा?
Ye ek bahut jaruri jankari hain hai ki PhonePe se kitna loan milega. Hum apko jankari ke liye bata de ki Phone se apko 10000 Rs. se leker 50000 Rs. tak instant personal loan mil jata hai. Apke documents ke hisab se apko ek nishit amount ka loan approve ho jata hai.
Also Read: Yaari App Se Loan Kaise Lete Hain in Hindi: Yaari App Details in Hindi
PhonePe Loan Interest Rate कितना लगता है?
Dosto jab bhi ap kisi bank se ya app ki help se loan lete hain to apko pata hona chaiye ki us par loan kitna lag raha hai esse apko ye jankari ho jati hai ki ek nishchit samay ke ander kitna paisa uper se lotana padega. PhonePe ke Personal loan interest rate ki bat kare to ye kafi chain ki sans lene jaisa hain… ji han… Apko PhonePe se 45 dino ke liye Interest Free loan milta hai. Ap loan se mili hue rashi ka upyog 45 days tak bina koi interest diye kar sakte hai. Hai na kamal ki bat…
Also Read: mPokket App se Loan Kaise Le (Student) | mPokket Loan Apply Online 2021
PhonePe Se Loan कितने दिनों के लिए मिलता है?
Phone se liya hua paisa apko ek fix time tak lotana hota hai. Jaisa ki apko phle bata chuke hai ki Phonepe se liya hua paisa ap 45 days tak interest Free use kar sakte hain. Loan ko wapas karne ka min time 2 mahine ka aur maximum ap 6 mahine mai loan ki rakam chuka sakte hain.
Read more: Simply Cash App Loan Kaise Le | Simply Cash Loan Review
PhonePe Business Loan कैसे ले?
Kya aap soch rahe hai ki Phine Business loan deta hai ya nhi. Agar deta hai to kaise ke sakte hai business loan PhonePe se. Dosto mai apko bata dena chahta hu ki PhonePe abhi business loan lo suvidha nahi deta hai. Jo paisa apko personal loan se milta hain esi ko hi aap use kar sakte hain.
PhonePe Loan के Features क्या – क्या है?
PhonePe Loan ke features es tarah se hain:-
- Es mai apko instant personal loan mil jata hain.
- Ye loan 45 days ke liye interest free hota hain
- Es loan ke liye apko bahut hi kaam documents submit karne hote hai.
- Jyada log es loan scheme ka fayda utha sakte hai kyunki PhonePe aj kal sabhi apne mobile mai use karte hain.
- Ye ek Online loan service hai jisse ki apko loan lene ke liye banks ke chakkar nahi katney padtey.
Why PhonePe Loan?
Bahut se banks aur apps apko online loan de sakti hain par jahan baat PhonePe se loan ki aati hain to kuch bato ki wajah se PhonePe se loan lena kafi aasan ho jata hain. Aaeye jante hai ki PhonePe se loan kyu le?
- PhonePe se apko instant loan mil jata hain.
- PhonePe loan ki puri process online hai to apko kahi nhi jana padta.
- PhonePe loan apko pure india mai kahi bhi mil sakta hain.
- PhonePe loan ke liye bahut kam documents ki jarurat hoti hai.
- PhonePe se interest free loan mil jata hain.
- PhonePe loan ke liye ap apne mobile se ghar baithe apply kar sakte hai.
- PhonePe loan ki rakam kafi jaldi apke account mai aa jati hai.
PhonePe Loan का कहाँ पर इस्तेमाल कर सकते हो?
- Phonepe loan ka estemal ap kahan kar sakte hai. Phonepe apko personal loan deta hai jiska use aap-
- Koi bhi jarurat ki chiz kharidney mai kar sakte hain.
- Agar ap ghumne jana chahte hai to un paiso se ja sakte hain.
- Yadi ap bike kharidna chahte hai to kharid sakte hain.
- Kuch online saman mangana chahte hai to purchase kar sakte hai.
- Bill payments kar sakte hain.
- Kisi ki Udhaar chuka sakte hain.
Aur koi bhi jaruri kaam mai PhonePe loan ka paisa kaam mai liya jakta hain. Eske liye koi boundation nhi hoti hain.
PhonePe Loan Eligibility क्या – क्या है?
- Apke pas jaruri docuements hone jaruri hain.
- Apka bharat ka Nagrik (Citizen) hona jaruri hain.
- Apke pas kamayi ka sadhan (Source) hona jaruri hai.
- Loan approval ke liye apki Age 18yrs se 69yrs ke bich honi chaiye.
Also Read: Dhani One Freedom Card Kya Hai | Dhani One Freedom Card Apply Online
PhonePe Loan Documents कौन – कौन से लगेंगे?
PhonePe Loan Docuements ke liye apko ID and Address proof dena hota hain.
Id proof (Aadhar card, Pen Card or Passport de sakte hain)
Address Proof (Aadhar card, Pen Card or Passport de sakte hain )
Also Read: Paytm Personal Loan Kaise Le : पेटीएम से लोन कैसे ले?
PhonePe Loan Kaise Milta Hai? PhonePe Se Loan Kaise Lete Hain?
Jaise ki hum apko pahle bata chuke hai ki apko PhonePe loan lene ke liye 2 apps (PhonePe & Flipkart) ko apne smartphone par install karna hoga aur same number se PhonePe & Flipkart app par register karna hoga. Eske bad apko Flikpart ki profile pe ja kar Flipkart Pay Later ko activate karna hota hain. Yahan apko kuch documents bhi submit karte hote hai.
- Sabse phle apko Phonepe app apne smartphone par install karna hota hain
- Uske bad ap Phonepe app par apka jo mobile number account se attached hain usey register karte hain.
- Eske bad apna bank account es mai add kar dijiye.
- Eske bad apko Flipkart app apne smartphone par install karni hain
- Apko Flipkart app par usi number se register karna hain jis number se PhonePe app par register kiya tha.
- Eske bad apko es mai Pay Later pe register karna hain.
- Eske bad es par apne documents ko upload karna hai.
- Eske bad apko ek limit mil jayegi.
- Apko PhonePe app ko open karna hain aur My Money option pe jana hai.
- Eske bad apko es loan ko Phonepe app par receive karna hain.
- ab aap es loan amount ko use kar sakte hain.
Es tarah se apko PhonePe se loan lene ki puri process ko follow karna hain. PhonePe loan ke liye sari steps ko follow karne ke bad loan ki rashi apke PhonePe app par aa jayegi.
Conclusion:
Dosto apko es artice main PhonePe se loan kaise lete hain or PhonePe se loan kaise le ke bare main puri janjari di gayi hain. Eske alawa apne ye bhi jana ki phonepe loan ke liye konse documents chaiye hote hai, PhonePe loan kitne dino ke liye milta hain, es par interest kitna lagta hain, PhonePe loan kitna milta hain, PhonePe loan kitni der mai mil jata hai, etc. Agar aap hamare dwara di gayi janakari se santusht hai to comment karke bataye. Agar apko article acha laga ho to esey jarur share karein. Apna mulyawan samay dene ke liye shukriya. Apke samay se jyada kuch bhi important nahi hain.