How To Get Paytm Personal Loan Apply Online. Jindagi mai aisa waqt jarur aata hai jab apko paiso ki khub jarurat padti hain. Ye kisi bhi kaam ki liye ho sakta hai jaise ki apko ghar mai shadi ke liye loan chiaye, bachcho ki school fees bharne ke liye, ghar ke kiraya chukane ke liye, rashan lane ke liye, gadi ki emi dene ke liye, koi nayi chiz kharidne liye liye, kisi ki bimari ke samay hospital ke kharchey ke liye, etc. Paiso ki jab jarurat hoti hian tab hi mil jaye to apak kaam ban jata hain.
Koi bhi jarurat hone par hum sabse phle apne rishtedar ya friend se paise mangte hai jisse ki apki instant help ho jaye. Magar agar kahi se bhi bat nhi banti hai to hum nirash ho jate hain. Hum apko batana chahte hai ki apko nirash hone ki jarurat nahi hai. Apko loan online bhi mil sakta hain. Bank ja kar loan lene mai bahut sare documents lagte hai aur kayi bar ye sab karne ke bad bhi loan reject ho jata hai to en sab se bachne ke liye ap online loan ke liye apply kar sakte hain. Esse apko ghar baithe loan mil jayega aur ap apni jarurat par paise kharch kar payent. Aj es artice mai hum apko batane wale hai ek aise hi loan suvidha ke bare main jiska naam hain Paytm Personal Loan.
Read more: PhonePe Loan Kaise Milta Hai ? | PhonePe Se Loan Kaise Le?
Personal loan ki suvidha paytm ke madhyma se di jati hain. Paytm ne ye service esliye shuri ki jisse ki wo apna customer ki sankhya badha sakein. Es loan ko lele ke liye apko Paytm app se hi apply karna padta hain aur wahi se ap esey manage bhi kar sakte hai. Paytm se app 2 lac tak ka loab sirf 2 min mai le sakte hain. Ye loan apko online apply karne ki suvidha deta hain. Aage es article mai hum janenege ki Paytm personal loan kaise milega, Paytm personal loan ke liye konse documents lagte hain, Paytm personal loan lene ke bad us chukaney ke liye kitne dino ka time milega, Paytm personal loan kitne rs ka milega, Paytm personal loan ke liye kon eligible hain. To chaliye es post mai aage badhte hai.
Paytm Personal Loan Kaise Le | How to take Personal Loan from Paytm?
Paytm se kuch samay phle hi professionals, salaried, aur small business owners ke liye personal loan lene kie suvidha chalu ki hain. Yah service 24×7 aur 365 days users ke liye available hai. Loan apply karne se leker loan ki rakam apke khatey mai aate tak bs 2 min se kam ka samay lagta hain. Aur ap ye sab kaam online kar sakte hain. Apko koi bhi bank physically visit karne ki jarurat nhi hoti hai.
Paytm loan lene ke liye apko Paytm app ke ander Personal loan section mai jana hoga. Wahi se app personal loan ke liye apply kar sakte hain. Aaeye Paytm personal loan kaise lete hai eske bare mai aur janakari prapt kare. Agar ap soch rahe hai paytm se loan kaise le to, sab janakari apko yahan par mil jayegi. Sabse phle jante hai ki Paytm App kya hai.
Paytm Kya hai?
Dosto apki janakri ke liye mai apko bata du ki Paytm waise to ek payment service hai jiski help se aap aasani se kisi ko bhi paise send kar sakte hain aur kisi other person se paise manga sakte hai. Eske alawa Paytm apko utility bill payment, credit card bill payment, bus booking, flight booking, online purchasing, Lic payment, Mobile recharge, DTH recharge, Rent payment, Gas Cylender booking, investment aadi bahut sari suvidhayein bhi deta hain. Es article mai hum Paytm se Loan kiase le ke bare mai hi jankari lenge.
Read more: mPokket App se Loan Kaise Le (Student) | mPokket Loan Apply Online 2021
Paytm Se kitna Loan Milta hai?
Dosto mai apko batana chahta hu ki Paytm se aap kam se kam 10,000 aur jyada se jyada 2 lac tak ka loan ke sakte hai. Apko loan kitna milega ye sab apke cibil score par depend karta hain. Agar apka Cibil score acha hai to aap Jyada amount (2 lac tak) ka loan Paytm se aasani se le sakte hai.
Read more: Google Pay Se Loan Kaise Le 2021: गूगल पे लोन कैसे लेतें हैं?
Paytm Personal Loan Interest Rate Kitna Hoga?
Dosto mai apko bata dena chahta hu ki jab bhi aap kisi bank se loan lete hain to apko kuch interest pay karna hota hai. Paytm app ke sath bhi waisa hi hain. Paytm se personal loan lene ke bad aap jab loan li gayi rakam ko wapas karte hai to uske sath kuch interest bhi dena hota hain. Ye interest rate sabki customers ki alag alag hoti hain.
Paytm se loan lene par apko kitna interst dena hoga eski jankari apko loan lete samay mil jayegi. Sab ap loan ke liye apply kare rahe honge tab apko Paytm bata dega ki apko kitne rupess ka loan milega aur us par kitna % byaj (interest) dena hoga.
Read more: Bajaj Finance Card Apply Online Free in Hindi: Bajaj Emi Card Kaise Banaye
Paytm se Loan Kitne Samay ke liye Milta hai?
Dosot jab bhi aap kisi se loan lete hai to ye apko zimmedari hoti hai ki aap us loan ko time par wapas lota de. Eske apka cibil score acha hota hain. Paytm se personal loan lene ke bad bhi apko esey time par return karna hain. Paytm personal loan ko aap 18months se 36 months ke tenure mai wapas karna hota hain.
Read more: KreditBee Loan App: Instant Personal Loan Kaise Le [Apply Onine]
Paytm se Loan Lene Ke liye Konse Documents Jaruri hote hain?
- Apke pas aadhar card hona chaiye.
- Apko pas pan card hona chaiye.
- Eske alawa apke bank main chalu khata (bank account) hona chaiye.
Read more: Yaari App Se Loan Kaise Lete Hain in Hindi: Yaari App Details in Hindi
Paytm Se Loan Lene ke liye kon Eligible Hai?
Paytm se loan lene ke liye ye kuch chize jaruri hoti hai-
- Ap ek bharat ke nagrik hone chaiye.
- Apki age 25-60 yrs ke bich honi chaiye.
- Apke pas koi income source hona chaiye.
Paytm se Personal Loan lene ke Benefits?
Paytm se personal loan lene ke bahut se fayde hai jaise ki –
- Paytm se apko jyada rashi ka loan mil jata hain.
- Apko physically kahi jana nhi padta.
- Loan approval ki sari process online hai esliye kaam jaldi ho jata hain.
- Paytm loan ka paisa sidhe apke account mai aa jata hain.
- Apko processing fee kam deni padti hain.
- Apka interest rate kam se kam lagta hain.
- Loan lene ke liye apko kafi kam docuements ki jarurat hoti hai.
- Paytm se loan lene par usey wapas karne ke liye jyada time milta hain.
- Paytm apko ye nhi puchta ki ap loan ki rakam kis kaam mai lenge.
- Loan time pe repay karne se apka credit score increase hota hai.
- Apka 2 minutes se bhi kam mai loan mil jata hain.
Aaeye jante hai ki Paytm loan ke paiso ka use hum kha kha pe kar sakte hai.
Paytm Personal Loan ka Use ap Kha pe Kar Sakte hain?
Paytm se loan lene ke bad ap es loan ki rakam ko jha bhi use karna chahe kar sakte hain lekin wo koi illigal kaam nh hona chaiye. Ap apni jarurat ke hisab se es paise ko kaam mai sakte hai jaise ki –
- Ap en paiso se bachcho ki school ki fees jama kara sakte hai.
- Nayi gadi le sakte hain.
- Ghar ka kiraya bhar sakte hain.
- Ghar ka rashan la sakte hain.
- Electricity, water, phone ke bill payment kar sakte hain.
- Koi Emi pay karni hai to wo pay kar sakte hain.
- Kisi ka udhaar chukana hai to wo chuka sakte hain.
- Koi new smartphone lena hai to wo le sakte hain.
- Kahi holiday pe jana hai to waha ja sakte hain.
- Kisi ke ilaz mai kharch karna hai to wo kar sakte hain.
- Shadi kharch ke liye paisa chaiye hai to us mai use kar sakte hain.
Read more: Paytm Business Loan Kaise le? | Paytm se Business Loan Kaise Lete Hain?
Paytm Se Personal Loan Kaise Le?
Paytm se Personal Loan lene ki process es prakar hain –
- Sabse phle apko paytm app ko apne mobile par install karna hota hain. Aap es app ko playstore se install kar sakte hain.
- Fir eske bad apna email id aur phone number register karna hota hai.
- Jaise hi aap apni detail dal dete hai apko app par Personal Loan search karna hain.
- Eske bad apko apna Pan card details, Dob, Name aur other details bharna hota hain. Uske bad apko Proceed pe click karna hota hain.
- Eske bad apko batana hoga ki ap Salaried Employee hain or Self employed hain. Aur ap kya kaam karte hai ye bhi batana hoga.
- Sari detail bharne ke bad Apko Confirm pe click karna hoga.
- Ap Paymt apki sari details check karega aur dekhega ki apna cibil score kitna hain. Agar apke paytm se sath ache transactions hai tab bhi apke loan approval ke chances kafi badh jate hai.
- Apko next screen mai apni credit limit pata chal jayegi ki apko kitne ka loan mil sakte hain. Eske alawa Apka interest rate, aur kitne dino ke loan le sakte hain ye bhi app yhi pe choose kar sakte hain. (Yadi apko jyada limit mila hai aur apko jarurat kam amount ki hai to aap limit ko kaam bhi kar sakte hain. Jaruri nhi ki ap jitey limit approve hua hai utney ka hi loan le.)
- Eske bad apko next step mai E-KYC karna hoga. Us mai jo bhi details mangi jayengi wo sab fill karni hongi.
- Next apko apne us bank account ki details dalni hongi jis mai ap es loan amount ko lena chahte hai.
- End mai jaise hi ap Get loan pe click karte hain kuch der mai loan ka amount apke bank account mai credit kar diya jayega.
Final Words:
Dosto es articme ke madhyam se humne jana ki Paytm se Kaise personal loan le. Agar apne pura article dhyan se padha hai to aap jaan gaye honge ki Paytm se pesonal loan kaise le sakte hain. Esse judi sari janakri jaise ki Paytm personal loan pe interest kitna rahega, Paytm personal loan kitne time ke liye milega, Kis kis ko loan mil sakta hain, Paytm personal loan ke liye documents kya kya lagte hain, Loan kitne amount ka milta hain, loan lene ki process kya hain aise sabhi chize humne details mai jani. Agar apko hamare dwara di gayi jankari achi lagi ho to es post ko apne dosto ke sath share karna na bhulein jisse ki wo bhi jarurat ke time Paytm se personal loan le sakein.