Paytm Business Loan Kaise le? | Paytm se Business Loan Kaise Lete Hain?

Dosto apko ek bat bata dena chahta hu ki koi insan nokari karte hua ameer nhi ban sakta ya to usey nokri ke alawa koi kaam karna padega ya uski lottery lag gaye ya sabse acha kaam hai ki wo koi business start karein. Aap aj duniya ke jiteny bhi ammer log dekhenge un mai se jyadatar business karke hi ameer bane hain. Business karna sabke bs ki bat nhi hain lekin business karke apne jivon ke sare sukh prapt kar sakte hai. Ap wo life ji sakte hain jiska sapna apne aj tak nhi dekha hoga. Ap kahenge ki sab kuch aj kal online ho gya hai to Online business karna bhi aasan ho gya hain. Businesss ab koi bhi kar sakta hain. Apki bat ek dum sahi hain lekin business start karne ke liye apko kcu paiso ki jarurat hamesha padti hain. Duniya mai aise bahut se log hai to paiso ki kami ki wajah se apna business nhi kar paye. Dosto agar apko apni life mai kuch karna hai apko business start karna chaiye. Agar apne kisi business ke barein mai soch rakha hai aur paiso ki kami ki wajah se ap business start nhi kar pa rahe hai to hum apki problem ka solution abhi kar dete hain. Hum apko batayenge ki kaise apne new business start karne ke liye ya fir apne business ko badhane ke liye loan ke sakte hain. Aj ki ye post bahut hi important hone wali hai kyunki es article ko padhne ke liye bad apki business loan ki samasya ek dum khatm ho jayegi. Agar ap koi chota business start karna chahte hai to ap easily kar payenge. Aur apli es problem ka solution diya hian paytm ne. Ji han dosto.

Paytm Business Loan Kaise le

Paytm business loan se apki paiso ki samasya ka samadhan ho sakta hain. Paytm par online business loan ke liye apply kar sakte hain. Hum apko batayenge ki Paytm Business loan kaise le. Apko paytm se business loan ke liye online hi apply karna padta hian. Aur kuch der mai paisa apke account mai aa jata hain. Paytm se app 2,00,000 tak ka loan le sakte ho. Ji han dosto ye amount hamne khud paytm ki website se verify kiya hain. Es loan se apko bahut fayda hoga. To chaliye jante hai ki paytm business loan kaise lete hain, paytm business loan interest rate kya hai, paytm business loan apply online kaise kare, paytm business repayment schedule kya hai, paytm business loan kitne ka milta hain, Paytm business loan documents kya hain, Paytm business loan eligibility criteria kya hain, Paytm business loan benefits kya hain. Ye sab jankari apko es article mai di jayengi. To Paytm business loan in detail janane ke liye bane rahiye hamare sath es articke ke end tak.

Read more: SBI Aurum Metal Credit Card Apply Online

Paytm Kya Hai?

Paytm ek online payment app hai jiska use paytm send karne aur receive karne mai kiya jata hain. Apne general shops par paytm ka QR Code rakha hua dekha hua jisey scan karke log payment karte hain aur wo direct shop wale ke paytm wallet pe chala jata hain. Eske alawa paytm se hum Credit card bill payment, Utility bill payment, bus booking, Flight booking, Train booking, Gold purchase, etc kar sakte hain. Eske alaway paytm se hum investment bhi kar sakte hain. Es tarah ek app bahut sare kaam karti hai. Lekin es article mai hum bs yahi janenge ki paytm se business loan kaise milta hain. Usse phle jantey hai ki Paytm Business kya hai.

Read more: Dhani Lifetime Free Cashback Card Details (Online Apply) 2021

Paytm Business Kya Hai ?

Dosto mai apko batana chahta hu ki Paytm Business ek app hai jo paytm ke dwara hi launch ki gayi hain. Es app ki help se app ek merchant account create kar sakte ho aur payment receive kar sakte ho.wo bhi 0% fee ke sath. Paytm business ke sath kafi business owner jud chuke hain. Ap bhi koi business run kar rahe hain to Paytm Business par register karke online payment receive karna start kar sakte hain. Esi app se apko business ke liye loan bhi mil sakta hain.

Read more: PalmCash Loan App : PalmCash Instant Personal Loan – PalmCash Loan App Review In Hindi

Paytm Business Loan Kitne Amount ka Milta hai?

Dosto ap jab bhi loan ke liye apply karein to usse pahle jan le ki apko bank/app kitne ka loan de sakta hain. Loan ka amount apki jarurat ke hisab se hona chahiye jisse ki apka kaam pura ho jaye. Paytm Business loan apko kam se kam 10,000 aur jyada se jyada 2,00,000 tak ka mil sakta hain. Ye loan apla collateral free nhi hota hai matlab apko koi security nhi deni hoti.

Read more: Vizzve Loan Instant Personal Loan Apply Online | Vizzve Loan App Se Loan Kaise Liya Jata Hai

Paytm Business Loan par Kitne % Interest Charge Karta hai?

Dosto interest wo amount hota wo jo apko loan amount ke alawa pay karna padta hain. Jaise ki aap bank se loan lete ho tab apko interest dena padta hai waise hi jab aap kisi app se loan lete hai tab bhi apko interest dena padta hain. Paytm business loan lene par apko interest pay karna padta hai jo ki 15% se start hota hain. Apke credit score ke according interest rate decide hota hain. Paytm ke ye hamesha koshish rahti hai ki apko competitive interest rate par business loan available karwaya ja sakein.

Paytm Business Loan Kitne Dino ke liye Milta hai?

Dosto ap duniya mai koi sa bhi loan le rahe hai apko ye pata hona chaiye ki apko kitne dino ke liye loan mil raha hain. Aisa na ho ki app kisi badey amount ka loan le aur apko usey 1 month mai hi pay karna padein. Esliye loan milna hi important ni hai wo kitne time mai return karna hai ye bhi important hai. Apko loan se related sari jankari leni chaiye fir loan ke liye apply karna chaiye. Paytm business loan apko 180 days ke liye deta hai. Jo bhi apka loan amount hota hai wo apko es duration mai wapas karna hota hai paytm ko.

Benefits of Paytm Business loan?

  1. Aise merchanges jinka paytm ke sath record acha hota unhe jyada limit ka loan mil jata hain.
  2. Loan process 100% online hai.
  3. Apko loan amount direct apke bank account mai mil jata hain wo bhi kuch hi der main.
  4. Online loan status dekh sakte hain kisi bank janey ki jarurt nhi hain.
  5. Loan repay karne ke kafi options milte hain.
  6. Loan lete waqt kafi kam documents ki jarurat padti hai.
  7. Loam amount ke business ke liye new machines purchase kar sakte hai.
  8. Koi business payment due hai to usey clear kar sakte hain.

Read more: Yaari App Se Loan Kaise Lete Hain in Hindi: Yaari App Details in Hindi

Paytm Business Loan Eligibility Criteria Kya hain?

  1. Ap bharat ke citizen hone chaiye.
  2. Apke pas ek active bank account hona chaiye.
  3. Apki age 21-56 sal ke bich honi chaiye.

Paytm Business Loan Documents:

  1. Apke pas aadhar card hona chaiye.
  2. Apke pas ek pan card hona chaiye.
  3. Apke pas apne business ka proof hona chaiye.
  4. Apke pas ek bank account hona chaiye.

Paytm Business Loan Kaise Le? Paytm Business Loan Apply Online

Paytm business loan process es prakar hai –

  1. Sabse pahle apko apne smartphone pe Google playstore se Paytm app for Business install karni hain.
  2. Apne mobile number se paytm business app par regiser karna hain.
  3. Uske bad apko apne business ko register karna hai.
  4. Eske bad apko app par Business Loan search karna hoga.
  5. Aur es option par click karna hain.
  6. Eske bad apko apni personal details aur address fill karna hain.
  7. Eske bad apko apne documents upload karne hain.
  8. Eske bad apko apni bank details dalni hain.
  9. Eske bad apko approved loan limit screen par dikha dega. Ap esey kam ya jyada kar sakte hain. Uske according apko ye repayment tenure, Daily instalment amount aur interest amount show kar dega.
  10. Eske bad apki loan application review mai chali jati hain.
  11. Eske bad apke pas verification call ayega.
  12. Eske baad apka loan approve ho jayega.
  13. Aur apka loan amount apke bank account mai credit ho jayega.
  14. Ab aap es paise ka use business ke liye kar sakte hain.

Read more: Sbi Bank Se Business Loan Kaise Le: Apply Online

Conclusion:

Dosto apne es article mai jana ki kaise hum Paytm business loan le sakte hai. Paytm business loan details in hindi apko kaise lagi hamey comment karke jarur bataye. Es details mai humne jana ki Paytm business loan interest rate kitna lagta hai, paytm busines loan kitne time ke liye milta hai, paytm business loan eligibility criteria kya hain, loan documents kya lagte hain, loan kitney time ke liye milta hain etc. Agar apko hamare dwara di gayi jankari achchi lagi ho to es article ko apne friends ke sath share karna na bhulein. Agar es article se related koi bat puchna chahte hai to bhi ap comment karke puch sakte hain. Article ko pura padhne ke liye dhanyawad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *