Dosto aj ke es article mai hum bat karne wale hai Gotocash app ke bare main. Gotocash app se ap personal loan le sakte hain. Es app se loan lene ke liye apko koi bhi financial statement dene ki jarurat nhi padti hai. Ap es app par KYC karke online hi loan ke liye apply kar sakte hain.
Life mai emergency kabhi bhi pad jati hai aur aisey condition mai paiso ki bahut jyada jarurat padti hai. Agar apne bhi kabhi aise situation ka samna kiya hai to apko pata hoga ki bina paise ke kya condition ho jati hai. Bhagwan na karein ki kisi ko bimari ke time par bahut sare paiso ki jarurat padein. Hum yhi kamna karte hai ki aise koi bimari kisi ko na lage. Lekin jab emergency aati hai to wo kisi ko bata ke ni aati. Aur hame kisi bhi condition mai uske liye ready rahna padta hai. Aise time par agar apko paiso ki jarurat padti hai to apko kisi ke samne hath failaney ki jarurat nhi hain. Aj ke digital time pe aise facility available hai jisse kia ap online bhi loan ke liye apply kar sakte hain. Hum aj es article mai aise hi app ke bare mai bat karne wale hai jisse ki apko ghar baithe hi loan mil jata hai.
Ji ha hum bat kar rahe hai Gotocash loan app. Es article mai hum janenge ki Gotocash app se loan kaise lete hain. GotoCash loan app se kitne ka loan milega, GotoCash se loan kitne time ke liye milega, Loan ki interest rate kya hogi, loan ke liye document konse lagenge, loan eligibility kya hai. En sab ke bare mai hum es article mai janenge.
GotoCash App Kya hain?
GotoCash app ek Instant personal loan app hai jisse ap pure indinai mai kahi se bhi online loan ke liye apply kar sakte hai. Es app se apko 50,000 tak ka loan mil jata hain.
Es app ko Winzone Technologies Pvt Ltd. Ne develop kiya hai. Ye ek NBFC hai jo apni app GotoCash ke madhyam se apko loan ki facility deti hain. Es company ka registered office Gurgaon, Hariyana mai hain.
GotoCash App Se Loan Kaise milta hain?
Es app loan lene ke liye apko Google Play store se es app ko download karna hoga. App ko download karne ke bad apko es par KYC karna hota hai. Ek bar KYC karne ke bad apko apne documents upload karne hote hain. Sari information fill karne ke bad apko app par bataya jayega ki apko kitne amount ka loan mil sakta hai aur kitne din ke liye mil sakta hain. Aur agar loan ke liye eligible nhi hai tab bhi apko eska notification app par mil jayega.
GotoCash Loan App Se Kitne Ka Loan Mil Sakta Hai?
Ye app apko Rs.3000 se leker Rs.50,000 tak ka loan deti hain. Loan ka amount apke credit score par depend karta hai. Waise to apka credit score below average rahne par bhi es app se loan mil jata hain but agar credit score achcha hai to loan amount badh bhi sakta hai.
GotoCash App Se Loan Kitne Din Ke Liye Milta hain?
GotoCash app se liye hue loan ke repayment ke liye apko 14 days se leker 6months tak ka time mil jata hain.
GotoCash App Ke Loan Par interest Kitna Lagega?
34.7% per annum Maximum, 0.095% Interest per day.
GotoCash App Se Loan ke liye Eligibility Kya hai?
- Loan lene wale ka Indian Citizen hona jaruri hai.
- Apke pas income source hona jaruri hai.
- Age 18yrs se 50yrs ke bich honi chaiye.
GotoCash Loan App Documents
- Pan card
- Aadhar Card
- Selfie
Fee & Charges
- Interest – 37.4%
- Processing Fee – Up to 16% of the loan amount.
- Platform Fee bhi apse yahan par charge hota hai
- Penalty: 3% of loan amount
- Penalty Interest: 2% of the loan amount (per day)
- GST: Sabhi Free and Charges par apko 18% GST bhi pay karna hoga.
Why GotoCash?
- Sabhi Indians India ke kisi bhi jagah se loan ke liye apply kar sakte hai.
- Jin Customers ki Low credit score hai ya Credit Score hai hi nhi wo bhi loan ke liye apply kar sakte hai.
- Apko yahan par 5 min mai loan mil jata hai.
- Loan approve hotey hi direct apke bank account mai credit ho jata hai.
- Repayment karne ke kafi sare options available hain.
- Agar ap loan time se pahle pay karna chahtey hai to koi pre-payment penalty nhi lagti hai.
GotoCash App se Loan Kaise le?
- Sabse pahle apko GotoCash app ko apne mobile par install karna hai.
- Uske bad apne mobile number se app par Signup karna hain.
- Eske bad app kar apni personal detail fill karni hain.
- KYC documents upload karein.
- Loan eligibility check kar lein.
- Loan ke liye eligible hone par apko loan amount and loan tenure dikh jayega.
- Apko loan lena chahte hai to aage process karna hain.
- Eske bad apko apne Digital signature karne hai.
- Eske bad Submit kar dijiye.
- Kuch hi minutes mai loan apke account mai credit ho jayega.
Gotocash App Review Hindi
Dosto waise to jab hame paise ki jarurat hoti hai to tab bs yhi dekha jata hai ki loan kahi se bhi mil jaye. Es app se loan milta to easy hai lekin apko loan par processing fee, platform fee, loan repayment na karne par heavy penalty, jyada interest pay karna padta hai wo bhi per day ke hisab se.
Agar apko jarurat hai to es app se loan le sakte hai fir bhi itni sare fee and charges ko dekhte hue agar apke pas koi dusra option ho to apko wo bhi explore karna chaiye.
GotoCash Loan App Customer Care Number, Email And Address:
Customer Service Email: cc@gotocash.in
Customer Service Hot line: +91-9667799012
Address: SF-221,2-floor, IT Complex, JMD Megapolis, Village Tikri, Sohna Road, Gurgaon Haryana – 122018 India
Conclusion:
Dosto hamari taraf se apko GotoCash loan app ke bare mai puri jankari dene ki koshish ki gayi hain ki loan kitna milega, Kitne interest hoga, tenure kitna hoga, Eligibility and documents etc. Loan lene se pahle puri janakri kar lene se bad mai pareshani ka samna nhi karna padta hai. Agar apko GotoCash app se loan kaise le ye jankari achchi lagi ho to esey apne friends ke sath bhi share karein. Article padhne ke liye dhanyawad.