Dosto aj hum es post mai Bank of Baroda Home loan ke bare mai bat karne wale hain. Sabhi ka sapna hota hai ki unka ek ghar ho jis mai wo aaram se rah sakein. Aj kal ghar banane mai ya bana hua ghar purchase karne mai bahut sara paisa chahiye hota hai. Bahut kam log hotey hai jo apni pasand ka makan bana patein hai. Aur reason hamesha paisa hi hota hai. Agar apke pas paise hai to ap apne liye ek achcha sa ghar buy kar sakte hain. Par jaise ki humne bataya ki mehengai ke es daur mai ghar ke liye paisa manage karna bahut hi mushkil hota hai. Aise time par home loan leker Ghar purchase karne ke dream ko pura kiya ja sakta hain. Aj es post mai bhi mai apke sath ek aise bank ki home loan ke bare mai batane ja rha hu jha se apko kam interest rate par Home loan mil sakta hai. Ji han dosto mai bat kar raha hu Bank of Baroda Home loan ki. Es post mai apko bataya jayega ki Bank of Baroda (BOB) se home loan kaise le, Bank of baroda home loan par kitne % interest lagta hain, Bank of baroda home loan eligibility criteria kya hain, Bank of baroda home loan kitne time ke liye milta hain, Bonk of baroda home loan apply kaise kare, etc sab chizo ki jankari apko es article mai di jayegi.
Read more: SBI Bank Se Home Loan Kaise Le? | SBI Bank Home Loan Apply Online
Bank Of Baroda Home Loan Overview
Bank of Baroda se home loan lene par apko kayi banefits hotey hain. Es mai apko kam interest and High loan amount wala loan diya jata hain. Es loan ke sath apko free credit card aur Free Accidental insurance bhi milta hain.
Bank of Baroda Home Loan Kitne Amount Ka Milaga?
- For Villages Maximum amount – 1 Cr.
- For City Maximum Amount – 5Cr. to 10Cr.
Read more: IDFC First Select Credit Card Kaise Le: IDFC First Credit Card Kaise Banega
Bank of Baroda Home Loan Par Interest Kitna Lagega?
Bank of Baroda Home Loan par 6.75% – 8.25% interst rate leta hain.
Bank of Baroda Home Loan Kitne Time ke liye Milega?
Bank of Baroda Home loan apko maximum 30yrs tak ke liye mil sakta hain.
Bank of Baroda Home Loan Kon Kon le Sakta hain?
- Wo sabhi Resident and Non-resident indians jinki age 21yr -70yr ke bich hai wo Home loan ke liye eligible hain.
- Aap Salaried or Self-employed hone chaiye.
- Aga ap salaried hai to 1yrs ka work experience aur self-employed hai to 2yrs ka work experience hona chaiye.
Bank of Boroda Home Loan ke Liye konse Documents Chaiye?
- Identity Proof
- Loan Application Form
- Address Proof
- Income proof
- Pan Card
- Property documents
Check this link for more information regarding documents.
Benefits of Bank of Baroda Home Loan
- Apka home loan par interest rate kam lagta hai.
- Apko higher amount ka home loan mil jata hain.
- Loan repay ke liye enough time mil jata hain.
- Apko free credit card milta hain.
- Apko free accidentail insurance milta hai
Bank of baroda home loan online apply
Bank of Baroda Home loan apply karne ke liye process niche di gayi hai-
- Sabse pahle apko BOB ki official website https://www.bankofbaroda.in/ par jana hain.
- Website ke home page par Loans ke options mai se Home loan Select karna hain
- Eske bad apko Apply Now ke button par click karna hain.
- Eske bad ek Form open hoga.
- Es Form par details fill karke apko Proceed button par click karna hain.
- Eske bad apki request bank ke pas chali jayegi. Apki details check karne ke bad bank apse aage ki process batane ke liye call karega.
Read more: Paytm Personal Loan Kaise Le : पेटीएम से लोन कैसे ले?
Conclusion: Bank of Baroda Home Loan
Dosto apne jana ki Bank of Baroda Home loan kaise apply kare, Bank of Baroda Home loan interest rate kya hai, Bank of Baroda Home loan ke liye documents konse lagte hai, Bank of Baroda Home loan eligibility criteria kya hai, Bank of Baroda Home loan kitne time ke liye milta hai, Bank of Baroda Home loan kitna milta hain. Ye sab jankari humne post mai prapt ki. Apko ye jankari achchi lagi ho to es post ko apne friends ke sath jarur share karein.