Dosto aj hum aise Card ke bare main bat karne ja rahe hai jo ki logo ke bich kafi popular hai Koi esey kahta hain Bajaj Finserv Emi Card, koi kahta hain Bajaj Finance Card, aur koi Bajaj EMI Card hi kahta hain. Hum apko batana chahte hai ki ye sab card ek hi hai bs log esey alag alag name se bulate hain. Koi bhi chiz EMI pe leni ho sabse Bajaj Finserv EMI Card ka name sanse pahle aata hain. Aur sabse jyada electronic item purchase karte time apne shopkeeper jarur puchta hai ki apke pas Bajaj Finserv ka EMI Card hain to ap esse Zero Cost EMI pe koi bhi chiz kharid sakte ho.
EMi wo bhi bina interest pay kiya esse bada fayada aur kya ho sakta hain. Loan ki instalment easily nikal jati hain aur pata bhi nhi padta. Agar ap koi chiz kharid rahe hai aur uska pura payment ek sath kar rahe hai aur ghar mai koi emergency aa jaye to apke pas paisa nhi rahta. Kayi bar aisa bhi hota hain ki apko laptop ka koi jaruarat ha saman lena hota h lekin apke pas utne paise nhi ho pate jitne ki us chiz ko kharidney ke liye chaiye. Aise condition mai ap EMI pe chizey buy kar sakte hain. Aur ake pas yadi Baja EMI Card hai to apka kaam aasan ho jata hain.
Read more: TVS Credit EMI Card Apply Online | InstaCard कैसे Activate करे | InstaCard Review
Baja EMi Card se aap online shopping bhi kar sakte hain aur wahan se bhi EMI par chizey kharid sakte hain. To es tarike se Bajaj Finance Card kafi kam ki chiz hain. Es article mai hum janenge ki bajaj finance emi card kaise banaye ya prapt kare, bajaj finance card apply online free in hindi, bajaj finance card documents konse lagte hain, bajaj finance card eligibility kya hain, bajaj emi card ke fayde in hindi, bajaj emi card kaise use kare, bajaj emi card se kitne ki limit milti hain, bajaj emi card pe interest kitna dena padta hain, bajaj emi card se kitne time ke liye EMI ho jati hain. Ye sabhi batein hum aj es article mai janenge. Ap hamare sath end tak baney rehein jisse apko bajaj finance card details in hindi mai pata chal jayengi.
Read more: IDFC First Select Credit Card Kaise Le: IDFC First Credit Card Kaise Banega
Bajaj Finserv EMI Card Kya Hai?
Yadi aap nhi jante hai to Dosto hum apko batan chahte hai ki Bajaj EMI Card ek tarike ke credit card hain. Jaise ki credit card se koi chiz buy karne ke bad apko ek fix time card se jiteny bhi paise kaam mai liye hai unka repayment karna hota hai waise hi Bajaj EMI Card se bhi ap koi bhi chiz EMI mai kharid sakte hain. Bajaj Finserv apko physical card bhi deta h aur Digital card bhi jo bhi eski app mai apko mil jata hain.
Baja EMI card ki bahut se companies ke sath partnership hai jisse ki ap es card ka use kahi bhi kar sakte hain. EMI par chiz buy karne se apko ek sath payment nhi karna padta. Jo bhi chiz apko leni hoti hain usla payment Bajaj EMI Card se shop wale ko kar diya jata hai aur baaj EMI card se apke monthly EMI set ho jati hain. Ap jitne months ke liye bhi emi karwatey ho wo paisa apko utney time mai dena hota hain.
Jaisa ki man lete hai ki apke apne Baje EMI Card se 10000 ki koi chiz kharidi hain aur usey apko 6 months mai repayment karne hain. To apke har month ki installment 1666.66 rs ki hogi. It amount apko har mahiney pay karna hoga. Esse fayda ye hua ki apko ek sath 10,000 pay nhi karna pada. 6 months mai 10000 rs kishton mai pay karna aasan hota hai, na ki ek sath 10000 rs ki chiz kharid lo aur paise bhi ek sath pay karna padein.
Bajaj EMI Card se ye bahut bada fayda logo ko hua hain. Ab ye to Jaan kiya ki Bajaj EMI card hota kya hain. Lekin Bajaj EMI Card kaise banta hai ye pata nhi hain to uske liye apko chinta karne ki jarurat nh hain. Apko EMI card kaise banta hai eski puri janari di jayegi aur bajaj emi card kaise apply kare ye bhi bataya Jayega.
Read more: SBI Super Premium Credit Card Kaise Le | SBI Aurum Metal Credit Card Apply Online
Bajaj Finance Card Details in Hindi
Bajaj Finserv EMI Card banwane ke liye apko online apply karna padta hain. Ek online process se aap jan sakte hai ki apko ye card milega ya nhi kyunki Bajaj Finserv EMI card ek popular card hain. Eske liye jo log bhi eligible hote hain unka credit score acha hota hai ye man lena chaiye. Ye card koi naya bhi nah hai esey launch hue kafi time ho gaya hai. Es card ki reputation bahut achi hain. Almost sabhi brands Bajaj EMI card ko apne stores pe online/offline accept karte hain. Aaeye esse related kuch aur jankari prapt karte hain.
Read more: Dhani Lifetime Free Cashback Card Details (Online Apply) 2021
Bajaj EMI Card se Kitney Ki Limit Milti Hai?
Dosto mai apko card limit ka matlab hota hai ki ap es limit tak card ka use kar sakte ho. Jab bhi aap Baaja emi card ke liye apply karte hai to apko ek limit milt hai. Es limit ke ander ap card ko use kar sakte hain. Card se ap shopping kar sakte hain. Apni jarurat ka koi saman kharid sakte hai aur bad mai usey emi ke jariye repayment kar sakte hain. Apko apni limit kaise check karni hai ye apko aage bataya jayega.
Bajaj Finserv Insta EMI Card Interest Rate
Dosto mai apko bata du ki Bajaj EMI Card ko use karne ke liye apko koi bhi interest nhi dena padta hain. Card ko activate karne ke liye bs apko one time fee deni padti hai. Ap zero cost emi par electronic itesm etc purchase kar sakte hain.
Read more: Navi Loan Kaise Lete Hain | Navi Instant Personal Loans App
Bajaj Emi Card Se Kitne Months Ki Emi Hoti Hain?
Bajaj emi card se ap jo bhi chiz karidtey hai uska payment aap 3-24 months ka time milta hain. Apko repayment kitne months mai karna hai ye apke card ki limit aur apne kitna amount use kiya hai us pe bhi depend karta hain.
Read more: Axis Bank Se Business Loan Kaise Le | Axis Bank Se Loan Kaise Liya Jata Hai
Bajaj Finance Card Documents
- Apke pas Aadhar card hona chaiye E-kyc ke liye.
- Apke pas Pen Card hona chaiye.
Bajaj finserv EMI Card Eligibility Criteria
- Apki age 23-65 sal ke bich honi chaiye.
- Apke pas income ka source hona chaiye.
- Apka Active bank account hona chaiye.
Read more: PalmCash Loan App : PalmCash Instant Personal Loan – PalmCash Loan App Review In Hindi
Bajaj Finance Card Online Apply Hindi | Bajaj Emi Card Kaise Apply Kare
Yadi ap soch rahe hai ki bajaj finance card online kaise banaye to apki chinta karne ki jarurat nhi hain. Ab hum apko batane ja rahe hai ki bajaj emi card online kaise banta hain.
- sabse pahle apko niche diye gaye link pe jana hai aur wahan par apna mobile numer aur Date of birth dal kar Apply now par click karna hain.
https://www.bajajfinserv.in/insta-emi-network-card-apply-online - Eske bad apko apne number pe ek OTP milega, ye OTP apko es app mai dal kar verify karna hain. Agar possible ho to mobile number wahi dalna hai jo ki apke bank account ke sath link hain.
- Eske bad apko Apna Full name, Pan card number, email id, pin code dal kar Get Instant Approval par click karna hoga.
- Eske bad apko jitni limit mil sakti hain app par pata chal jayega. Yadi ap credit lene ke liye abhi eligible nhi hai to “not eligible” likha aa jayega.
- Agar apko card lena hai to Get it now par click kar dijiye.
- Next page par apko personal details bharna hoga aur fir Confirm address par click karna hoga.
- Apko card lene ke liye one time fee dena hoga jo ki approx 566 rs with GST hoga.
- Fee pay karne ke bad apko apna bank account details fill karna hoga taki EMI easily apke account se debit ho jayein.
- Uske bar apke pas See card ka option aayega. Ye apko app ke link pe le jayega. Apko Bajaj Finserv Wallet apne mobile par download karna hoga.
- App mai login karne ke bad open apna card show ho jayega. Es par apko card ki limit bhi show ho jayegi.
- Es card ko aap kahi bhi use kar sakte hai par sabse phle apko esey offline use karna hain fir aap esey online bhi use kar payenge.
- Es simple process ke jariye ap online hi Bajaj EMI Card apply kar sakte hain. Es card se aap No Cost EMI par chize buy kar sakte hain.
Bajaj Finserv Insta EMI Card Fees:
Dosto hum apko yahan par batana chahte haiki apko es card ke liye one time free deni hoti han jo ki abhi 500rs ke approx. hain. Ye pay karke aap Baja Finserver EMI Card ko activate kar sakte hain.
Bajaj Emi Card Ke Fayde in Hindi
- Bajaj EMI Card se Apko No Cost EMI ki facility milti hain.
- Ap es card ke liye online hi apply kar sakte hain.
- Card lene ke liye apko bahut kam document ki jarurat padti hain.
- Card se credit limit achi mil jati hain. .
- Repayment ke liye apko kafi time mil jata hain.
- Apko card per kafi sarey pre-approved offer milte hain.
- Agar apko emi ka sara paisa ek sath pay karna hai to us par koi extra chage nhi lagta hain.
- Aap offline store jaise ki Big Bazaar, Shoppers Stop aur online ecommerce sites jaise ki Amazon, Flipkart pe aasani se shopping kar sakte ho.
Read more: KreditBee Loan App: Instant Personal Loan Kaise Le [Apply Onine]
Conclusion:
Dosto humne es article mai jana ki Bajaj Finserv EMI Card kaise lete hain. Es se related sari batein jaise bajaj finance card documents konse lagte hain, bajaj finance card eligibility kya hain, bajaj emi card ke fayde in hindi, bajaj emi card kaise use kare, bajaj emi card se kitne ki limit milti hain, bajaj emi card pe interest kitna dena padta hain, bajaj emi card se kitne time ke liye EMI ho jati ke bare mai jana.
Agar apko pasand aaya ho to esey apne friends aur family ke sath bhi share kijiye. Article padhne ke liye bahut dhanyawad. Apke time se jyada aur kuch bhi kimati nhi hain.